Friday, October 24, 2008


Romance

Mat rok mujhe aaj behek jaane do,
Nazaron ne nind ko alvide keh diya,
Hai aarzu ki raat paas ane do,
Teri garam saanson ne kuch yun mujhe pighla diya,
Peene de mujhe tere husn ka ras jee bhar ke aaj,
Tune chunari yun hatai husn beparda ho gaya,
Bahut tadpa hun bin tere aaj khud mein sama jaane do.
Aaj mera sab kuch tere naam ho gaya.


Sula mujhe apni baahon mein,
Bada besabra hun main tujhe aaghosh mein lene ke liye,
Na kare kabhi mann uthane ka,
Tere husn ko in resham ke dhaago se azad karane ke liye,
Maut bhi aa jaye agar teri aaghosh mein,
Loot lun teri jawani masal dun tere husn ko aaj raat,
Na ho afsos zindagi kho dene ka.
Bekaraar hu main tujhe apni dhadkan mein samane ke liye.


Dheere se rakhu kadam mera chaand so raha hai,
Na roku tujhe main woh raat ai hai,
Phir bhi aaghosh mein le ne ko dil tadap raha hai,
Jee bhar ke lutega tu mujhe soch kar aankh bhar ai hai,
Chaandi sa hai badan noor hi noor bikhra hai har taraf,
Tu chhu raha hai ang ang sharmo haya se palke hai jhuki hui,
Zalim meri nind uda kar khud mere pahlu mein so raha hai
Lut le mujhe jaan teri deewangi mujh par chhaai hai.


Chaahat mein teri madhosh ho rahi hun,
Har lamha har pal theher jaye,
Paas hai tu aur main kho rahi hun,
Le tu mujhe aaghosh mein aur zindagi guzar jaye,
Tera ehsaas ghere hai har pal mujhe,
Teri saanson ki garmi se dhadkane hai bekaraar is kadar,
Dur na jaye tu is darr se ro rahi hun.
Na roke tu mujhe aaj aur mujh mein sama jaye.


Lipta rahu main tujhse raat bhar mehsus karu teri saanson ko,
Na hosh rahe humein ab khoye rahe ek duje ki saanson mein,
Tere badan se mera badan laga rahe koi na sune tere meri aanhon ko.
Bepanaah pyaar karu tujhe raat kate aanhon mein.


Ragadu apne honto ko tere badan pe,
Husn ki faili hai chandani zulf kar rahi hai kam ghataon ko,
Apne kaampte hue haathon se sehlau tujhe,
Yun na khel tu zulfon se sharmo haya se simat rahi hun,
Teri mehek kar rahi hai mujhe madhosh,
Baahon mein sama le mujhe kho jau tujh mein main,
Aa main khud mein fanaa kar dun tujhe.
Dheere se hata har parat mat ban besabra main madhosh ho rahi hun.


Bekaabu ho rahi hai saansein meri kaamp raha hai badan mera,

Aa meri baahon mein aa jaanam tadap raha hai deewana tera.



Aa meri aaghosh mein sama lun tujhe,

labon se tere labon ko chhu kar chum lun tujhe,

kho jaye ek dusre mein is tarah simat jaye hum,

pyaar karu main itna na rahe koi hosh tujhe.
Khamoshi hai aaj har taraf nazaron se baat hone do,

Jhuki hai nazarein sharmo haya se yun hi jhuki rehne do,
Narm honto ko labon se tune yun chhua sulag uthi saasein,
Hat rahi hai duri pyaar hua yun roshan aaj,
Baahon mein liya is kadar nikal padi aahein,
Kabhi na hui aaj woh har baat hone do.
Raat bhar barasti rahi shab phir bhi pyaas hai teri nazaron mein

Beparda hai husn teri baahon mein phir kyu tadap rahi hai teri nigahein.
Tum ho mere is ehsaas ne mujhe deewana banaya hai,

Nazdiki ne tumhari mere husn ko aur badaya hai,
Beparda hai husn tera aaj meri bahaon mein,
Nazaron se husn ka jam yun piya shabnami labon ko mere yun chhua tune,
Chumu main tere honto ko chumu ang ang tera,
Nashe se bhar gaya hai aalam teri betaabi ne mujhe tujh mein dubaya hai.
Masal dun aaj teri jawani lut lun tere husn ko,

Pi lun nasheela jam tere honto ka chura lun main noor tera.
Chum tu mujhe itna ki tere honto ki lali se mera badan bhar jaye,

Lekar baahon mein jakad is tarah ki chaah kar bhi chhod na sake,
Labon se chum le is tarah mere badan ko,
Kho jaye hum dono ek dusre mein e sanam,
theher jau kaamp jau main kuch is tarah se,
Pyar kar mujhe itna ki tere pyaar ka nasha kabhi utar na sake.
pal bhar mein bhar jaye nasha aankhon mein itna,

piye ho najaane kitne paimaane jaise.
Please give us your valuable comment. We will be grateful to you

Pyaar
Teri aankhon se jab tapakti hai shararat,
Banake tujhe dulhan apni ghar launga main,
Chhipate hue bhi jab dikh jati hai muskurahat,
Saja kar maang teri tujhe apnaunga main,
Khoobsurat chehre par jab baal ud ud jaye,
Pyaar karunga bepanaah tujhe,
To hum kya hai najaane kitno ko deewana kar jaye.
Khud rote hue bhi tujhe hasaunga main.


Tanha tanha na humein choda karo,
Chahu tujhe chahu itna main,
Ki tanahi bardaasht hoti nahi,
Subah shaam rahe tere honto pe naam mera,
Gavara nahi jeena humein tere bin,
Dur ho kar bhi kareeb rahu hamesha tere,
Jo tu nahi to hum bhi nahi.
Teri aankhon mein har pal rahe chehra mera.


Dil hi dil mein koi dil par chhata gaya,
Bas ja mere dil mein dhadkan mein is tarah,
Dekhte hi dekhte dhadkano mein samata gaya,
Janam janam tak ek dusre se alag na hone paye hum,
Najaane kab kaise kyu hun unhe itna chahane lage,
Aye lakh musibatein beech humare chahe ho kitni bhi mushkile,
Ki woh humari dhadkan saansein zindagi ban gaya.
Na kabhi ho dur ek duje se hum.


Dil pe apne maine tera naam likh diya,
Chahat ki chandani tu mehkhane ka nasha nazarein hai shabnam ki bund tu,
Har subah har shaam har lamha tere naam kar diya,
zulf giri to ghir aye badal rehna hamesha saath zindagi ki har dhadkan tu.
Dhadkano mein saanson mein khawabon mein basa liya tujhe,

Apni har khushi har armaan tujh par qurbaan kar diya.
Gale se laga lun tujhe main,

Ji lun hazar janam ek pal mein,
Palko se karenge ilteja na jhapak na ek pal ke liye aaj,
Ho is kadar meherbaan mujh par ki nazar na aye kuch tere bina,
Didaar karenge hum unka ehsaas karenge aaj,
Ab tu hi hai humdum meri aarzu meri chahat mein.
Hawao tum bhi karne dena didaar mat karna zulfon ka pehra aaj,

Aye woh roshan ho utha dil ka har kona nahi chaand ki zarurat aaj.
Unki nazaron ne dekha kuch is tarah se,

mekhane mein ho hum behake is tarah se,
Baahon ko rehta intezaar har pal,
na karti khata nazarein na lutata chain,
Bekhayali mein yun behake hai kadam,
dil apna gava kar yun baithe jannat mili ho aise.
Teri garam saanson se pighlu chahat hai har pal,

Ho jab tu saamne to chaand lage madham.



Saath rahe tera zindagi bhar yehi manga hai maine rab se,

Zindagi haseen ho gai hai aur bhi ai hai tu zindagi mein jab se.



Aaj dil un par nisaar hua jaye re,
Mere dil se nikle woh khawahish hai tu,
nahi hua ab tak woh aaj hua jaye re,
labon par aye har pal ibadat hai tu,
pyar bhara aankhon mein sharab ki tarah,
tanhai bhi tu mehfil bhi tu,
kaise main chupu yeh benaqaab hua jaye re.
dekh tujhe ud jaye nind woh qayamat hai tu.


Yeh dil apna maine tere naam kar diya,
Yun dekh ke humein is tarah na muskurao,
har armaan har sapna tujh par nichhavar kar diya,
aankhon se apni yun paas na bulao,
tu hai meri zindagi meri mohabbat mera pyaar,
pagal ho rahe hai behak rahe hai hum,
apne dil par maine apne khoon se tera naam likh diya.
yun apni adaon se humein deewana na banao.


Yun na dekh in nashili aankhon se humein,
Aankhon mein nasha is kadar khulne se mana kar diya,
kahin madhosh na ho jaye behak na jaye hum,
paimaane se chhalki ho raat bhar sharab yun humein behka diya,
thaam le haath mera bhar le mujhe baahon mein,
suraj ki kirane khel rahi yun aftaabi chehre se,
sambhal le kahin gir na jaye madhoshi mein hum.
ki zulfon ne bhi gir kar hum par pehra kar diya.


Yeh dil najaane kya kar baitha,

Puche bina hi mujhse faisla kar baitha,
Please give us your valuable comment. We will be grateful to you.
Is zameen par toota sitara girta nahi,

Aur yeh pagal chaand se pyaar kar baitha.


Zindagi se jude hote hai anubhav, anubhavo se judi hoti hai yaadein aur yaadon se jude hote hai ehsaas.
Har lamhe ke saath badalte hai humare ehsaas. Har ehsaas ke saath
badalti hai humari zindagi. Kabhi dard ka ehsaas, Kabhi khushi ka
ehsaas, Kabhi zindagi khone ka ehsaas, Kabhi kuch paane ka ehsaas.
Zindagi ka har pal jeete hue guzarte hai hum bhaavnao ke sailaab se jise kehte hai Ehsaas. Lamha lamha apni guzarti zindagi ke pal mere aansuo aur muskurahaton se bhar kar dekhe.
Saanson ka zindagi se, chand ka chandani se, lehro ka sagar se, aisa hi rishta hai anubhavo ka ehsaas se.
Jise hum har pal mehsus karte hai kisi ke saath hone ka ehsaas humein khushi se bhar deta hai to uski judaai ka ehsaas humein dukh se tod deta hai.
Zindagi hai naam iska jiske har pal ko ehsaas kehte hai.
Meri zindagi ke har lamhe mein shamil ho kar dekhiye.................

Wednesday, September 17, 2008


Suraj Se Accha Sitara Koi Nahi
Jaisa Rishta Hai Humara Dusara Koi Nahi
Chahe Sari Duniyame Dhundlo
Muj Jaisa Sweet Aur Aap Jaisa Pyaara Koi Nahi
Wo Waqt wo lamhe Kuch ajeeb Honge
Duniya me hum khush Naseeb honge
Door se jab Itna Yaad karte hai aapko
Kya Hoga Jab aap humare Kareeb honge?
phir wahi raat wahi khamosh tanhaiye
hawa apne sath kiski yaad le aayi
hum to baithe chand ko dekh rahe the
phir ye kiski yaad me aankh bhar aayi

Totally passionate My love for you, Loving and compassionate A love so true! I love you like the sweet taste of nectar, I need you like the ocean needs the waves, I love you for being my protector. I love you like the kiss of dew on my face, I need you like the stars need the heavens, I love you for your tender embrace. I love you like the sweet melody of a song, I need you like the flowers need the rain, I love you for life long.

Ajab pagal si larki haykabhi kabhi mujhe puchhati haimujhe tum yaad karte hotumhe main yaad aati humeri baate satati haitumhari ninde udati haitumhari aankhe bhar aati haijab main online nahi aati hu tabonline pe aaj bhi intezaar karte hokisi khamosh raste se koi aawaz aati haititharti sard raato metum ab bhi chhat pe jate hofalak ke sab sitaro komeri baatein sunate hokitabo se tumhare ishq me koi kami aaiya meri yaad ki shiddat seaankho me koi nami aaiajab pagal si larki hai

તને હું ગમું છું: મને તું ગમે છે છતાં આ વિધિને શું વાંકું પડે છે?તને મળવા માટે નરી યાતનાઓ કહે કુંડળીમાં કયો ગ્રહ નડે છે?બગીચામાં વાસંતી વૈભવ પડ્યો છે:હસે છે આ હોઠો ને આંખો રડે છે. તૂટેલો અરીસો ને પ્રતિબિંબ તૂટ્યાંમારો જ આપસમાં ચહેરો લડે છે. સદા માટે ચાલો જઇએ અહીંથીપારેવા જેવું હ્રદય ફડફડે છે